Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam
Hazrat Ali Akbar (A.S.) 🎤 Reciter: Janab Fareed Mustafa ✍️ Poet: Janab Fareed Mustafa

Sarwar se koi pooche marna Ali Akbar ka

Published on July 25, 2023
Audio Stream 🎤 Janab Fareed Mustafa

Sarwar se koi pooche marna Ali Akbar ka

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Aasaan nahin padhna nauha Ali Akbar ka
Sarwar se koi pooche marna Ali Akbar ka
Laila ne kaha ro kar kis taraha karoon rukhsat
Main dekhke hi jeeti hoon chehra Ali Akbar ka

Attharan baras jisne paala Ali Akbar ko
Dekhe woh phupi kyonkar laasha Ali Akbar ka
Marne ko azaadaron yeh zulm hi kya kam hai
Naize se hua zakhmi seena Ali Akbar ka

Ya Shah-e-Najaf badh ke ab aap sahara dein
Maula se nahin uthta laasha Ali Akbar ka
Dahleez par sar rakkhen aansoon liye aakhon mein
Beemar bahen dekhey rasta Ali Akbar ka

Laila na kaha Sughra Akbar to nahin palte
Taskeen ko laye hoon kurta Ali Akbar ka
Is dil mein "Fareed" apne bas ek hi hasrat hai
Padhte huye mar jaaoon nauha Ali Akbar ka

आसान नहीं पढ़ना नौहा अली अकबर का
सरवर से कोई पूछे मरना अली अकबर का
लैला ने कहा रो कर किस तरह करूँ रुख़सत
मैं देख के ही जीती हूँ चेहरा अली अकबर का

अठ्ठारह बरस जिसने पाला अली अकबर को
देखे वो फूफी क्योंकर लाशा अली अकबर का
मरने को अज़ादारों यह ज़ुल्म ही क्या कम है
नैज़े से हुआ ज़ख़्मी सीना अली अकबर का

या शाह-ए-नजफ़ बढ़ के अब आप सहारा दें
मौला से नहीं उठता लाशा अली अकबर का
दहलीज़ पर सर रखें आँसू लिए आँखों में
बीमार बहन देखें रस्ता अली अकबर का

लैला ना कहा सुग़रा अकबर तो नहीं पलटे
तसकीन को लाईं हूँ कुर्ता अली अकबर का
इस दिल में "फ़रीद" अपने बस एक ही हसरत है
पढ़ते हुए मर जाऊँ नौहा अली अकबर का

← Return to Library