Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam
Imam Hussain (A.S.) 🎤 Reciter: Jafar Parvez Sahib ✍️ Poet: Jafar Parvez Sahib

Sada yeh aati thi Zehra ki rann me haaye Hussain

Published on September 20, 2022
Audio Stream 🎤 Jafar Parvez Sahib

Sada yeh aati thi Zehra ki rann me haaye Hussain

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Sada yeh aati thi Zehra ki rann me haaye Hussain
Pada hai khaak par maqtal mein sar kataaye Hussain
Tujhe laeenon ne pyaasa shaheed kar daala
Diya na qatra bhi paani ka tujhko hai Hussain

Pada hai khaak par Zehra ke qalb ka tukda
Jigar par apne bahattar ke zakhm khaaye Hussain
Faras se gir ke kiya Sajda-e-Khuda-e-Qadeer
Chala galey pe jo khanjar to muskuraye Hussain

Ghire the nargha-e-aada me is tarah Sarwar
Talaash karti thi Zainab nazar na aaye Hussain
Jawaan laal ke seene se khainch li barchi
Zara bhi haath tumhare na thartharaye Hussain

Muh apna pher ke maujen Furat ki royee
Jab apni god me Asghar ko rann me laye Hussain
Khata mawaaf jo Hur ki Imam ne kar di
To apne haathon se chuye jari ne paye Hussain

Hazaaro mushkilen tujhpe padi, magar " Parvez "
Jahan bhi tumne pukara madad ko aaye Hussain
Sada yeh aati thi Zehra ki rann me haye Hussain

सदा यह आती थी ज़हरा की रण में हाय हुसैन
पड़ा है ख़ाक पर मक़तल में सर कटाए हुसैन
तुझे लईनों ने प्यासा शहीद कर डाला
दिया ना क़तरा भी पानी का तुझको हाय हुसैन

पड़ा है ख़ाक पे ज़हरा के क़ल्ब का टुकड़ा
जिगर पे अपने बहत्तर के ज़ख़्म खाए हुसैन
फ़रस
से गिर के किया सजदा-ए-

ख़ुदा
-ए-क़दीर
चला गले पे जो ख़ंजर तो मुस्कुराए हुसैन
घिरे थे

नर्ग़ा-ए-आ'दा
में इस तरह
तलाश करतीं थी ज़ैनब नज़र ना आए हुसैन
जवान लाल के सीने से खैंच ली बरछी

ज़रा भी हाथ तुम्हारे ना थरथराए हुसैन
मुँह अपना फेर के मौजें फ़ुरात की रोईं
जब अपनी गोद मे असग़र को रण में लाए हुसैन
ख़ता मवाफ़ जो हुर की इमाम ने कर दी

तो अपने हाथों से छुए जरी ने पाए हुसैन
हज़ारों मुश्किलें तुझपे पड़ी मगर "परवेज़"
जहाँ भी तुमने पुकारा मदद को आए हुसैन
सदा यह आती थी ज़हरा की रण में हाय हुसैन

फ़रस -
घोड़ा, अश्व, अस्प
नर्ग़ा-ए-आ'दा -
दुश्मनों का घेरा

ख़ुदा
-ए-क़दीर - हर चीज़ पे क़ुदरत रखने वाला ख़ुदा

← Return to Library