Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Quran aur Hussain

Published on August 16, 2021
Audio Stream 🎤 Sachey Bhai

Quran aur Hussain

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Quran aur Hussain
Wallah sar-e-muu farq nahi hai
Dono ke maabain
Utra wo qalbe Mohammed par

Ye Zehra ke ghar may aaya
Kaaba Kausar ek doosre se honge na kabhi ye dono judaa
Dono hai noor hai dono ki manzil Kaaba Kausain
Quran aur Hussain

Wo khwaab hai aur tabeer hai ye
Wo khaaka hai tameer hai ye
Firdaus-e-doaalam par likhi
Tahreer hai wo Tafseer hai ye

Mehboob-e-Elaahi ke dil ka
Ye dono hi hai chain
Quran aur Hussain
Wo mojijza hai ejaaz hai ye

Wo noor hai ye uska paikar
Parwan chade hai ye dono
Aaghose Payambar may pal kar
Quran labon se khelta tha

Zulfon se Hasnain
Quran aur Hussain
Jaan waar ke haq par Shah ne kiya
Quran ke dushman ko abtar

Quran sadayein deta hai
Inna aataina kal kausar
Baaqi hai nasl Mohammed ki
Jab tak hai nasle hussain

Quran aur Hussain
Quran payaame Ahmed hai
Shabbir salaame Ahmed hai
In dono ke dam se qayam

Aalam may nizam-e-Ahmed hai
Allah-o-Nabi ki hujjat hai
Ye maabain-e-Kaunain
Quran aur Hussain

Darse Quran diya Shah ne
Aalam ko uthi talwaron may
Ek harfe shahadat ki likh di
Tafseer bahattar paaron may

Qurban tere ay Waris-e-Ilme
Shahe Badr-o-Hunain
Quran aur Hussain
Quran ko noke naiza par

Siffin le aaye aada
Mehman bulakar Sarwar ko
Pani na diya sar kaat liya
Sar khole hue ek dukhyari

Maa karti rehgayi bain
Quran aur Hussain
Afsos Nabi ki ummat ne
In dono hi ki qadr na ki

Naizon se lagaye zakhm kabhi
Teeron se kiya chahe zakhmi
Ummat ne baade Payghambar
Loota dono ka chain

Quran aur Hussain
Sad haif Nabi ki itrat ko
Taqdeer ne ye din dikhlaya
Ta-shaam bala ke maidan se

Naize pe sare bazaar gaya
Quran sunata logon ko
Zehra ka Noor-e-Ain

क़ुरान और हुसैन
वल्लाह सर-ए-मू फ़र्क़ नहीं है
दोनों के माबैन
उतरा वो क़ल्बे मोहम्मद पर

ये ज़हरा के घर में आया
काबा कौसर एक दूसरे से, होंगे ना कभी ये दोनों जुदा
दोनो हैं नूर, है दोनों की मंज़िल काबा कौसैन
क़ुरान और हुसैन

वो ख़्वाब है और ताबीर है ये
वो ख़ाका है तामीर है ये
फ़िरदौस-ए-दोआलम पर लिखी
तहरीर है वो तफ़सीर है ये

महबूब-ए-एलाही के दिल का
ये दोनों ही हैं चैन
क़ुरान और हुसैन
वो मोजिज़ा है एज़ाज है ये

वो नूर है ये उसका पैकर
परवान चढ़े हैं ये दोनों
आग़ोशे पयम्बर में पल कर
क़ुरान लबों से खेलता था

ज़ुल्फ़ों से हसनैन
क़ुरान और हुसैन
जाँ वार के हक़ पर शह ने किया
क़ुरान के दुश्मन को अबतर

क़ुरान सदायें देता है
इन्ना आतैना कल कौसर
बाक़ी है नस्ल मोहम्मद की
जब तक है नस्ले हुसैन

क़ुरान और हुसैन
क़ुरान पयामे अहमद है
शब्बीर
स

लामे अहमद है
इन दोनों के दम से क़ायम
आलम में निज़ाम-ए-अहमद है
अल्लाह-ओ-नबी की हुज्जत है

ये माबैन-ए-कौनैन
क़ुरान और हुसैन
दरसे क़ुरान दिया शह ने
आलम को, उठी तलवारों मे

एक हरफ़े शहादत की लिख दी
तफ़सीर, बहत्तर पारों में
क़ुरबान तेरे अय वारिस-ए-इल्मे
शाहे बद्र-ओ-हुनैन

क़ुरान और हुसैन
क़ुरान को नोके नैज़ा पर
सिफ़्फ़ीन में ले आए आदां
मेहमान बुलाकर सरवर को

पानी ना दिया सर काट लिया
सर खोले हुए एक दुखयारी
माँ करती रह गई बैन
क़ुरान और हुसैन

अफ़सोस नबी की उम्मत ने
इन दोनों ही की क़द्र ना की
नैज़ों से लगाए ज़ख़्म कभी
तीरों से किया गाहे ज़ख़्मी

उम्मत ने बादे पैग़म्बर
लूटा दोनों का चैन
क़ुरान और हुसैन
सद हैफ़ नबी की इतरत को

तक़दीर ने ये दिन दिखलाया
ता-शाम बला के मैदाँ से
नैज़े पे सरे बाज़ार गया
क़ुरान सुनाता लोगों को

ज़हरा का नूर-ए-ऐन

← Return to Library