Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam
Ahlebait (A.S.) 🎤 Reciter: Nazim Hussain ✍️ Poet: Mehshar Lukhnawi

Masnad e gham bichayi jaati hai

Published on July 30, 2022
Audio Stream 🎤 Nazim Hussain

Masnad e gham bichayi jaati hai

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Masnad e gham bichayi jaati hai
Bazme matam sajayi jaati hai
Ran ko Akbar chale to maa ne kaha
Umr bhar ki kamayi jaati hai

Masnad e gham bichayi jaati hai
Khoon may doobe hai yun Ali Akbar
Jaise chadar udhayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai

Kisko gharey hue hai ahle haram
Kiski mannat badhayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai
Ek rida dedo Shah ko Kubra

Laashe Qasim uthayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai
Teer gardan pe khalo ay Asghar
Pyas yun bhi bujhayi jaati hai

Masnad e gham bichayi jaati hai
Yaad aati hai ek nanhi lehad
Jab bhi shamma jalayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai

Boli Zainab utho utho Abid
Aag ghar may lagayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai
Zikre Maula ka faiz hai "Mahshar"

Teri shohrat jo paayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai

मसनदे ग़म बिछाई जाती है
बज़्मे मातम सजाई जाती है
रन को अकबर चले तो माँ ने कहा
उम्र भर की कमाई जाती है

मसनदे ग़म बिछाई जाती है
खून में डूबे हैं यूँ अली अकबर
जैसे चादर उढ़ाई जाती है
मसनदे ग़म बिछाई जाती है

किसको घेरे हुए हैं अहले हरम
किसकी मन्नत बढ़ाई जाती है
मसनदे ग़म बिछाई जाती है
एक रिदा दे दो शाह को कुबरा

लाशे क़ासिम उठाई जाती है
मसनदे ग़म बिछाई जाती है
तीर गर्दन पे खा लो अये असग़र
प्यास यूँ भी बुझाई जाती है

मसनदे ग़म बिछाई जाती है
याद आती है एक नन्ही लहद
जब भी शम्माँ जलाई जाती है
मसनदे ग़म बिछाई जाती है

बोली ज़ैनब उठो उठो आबिद
आग घर में लगाई जाती है
मसनदे ग़म बिछाई जाती है
ज़िक्रे मौला का फ़ैज़ है "महशर"

तेरी शोहरत जो पाई जाती है
मसनदे ग़म बिछाई जाती है

← Return to Library