Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda

Published on July 31, 2022
Audio Stream 🎤 Syed Afaq Hussain Rizvi

Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda
Koi ab tak na hua uske barabar sajda
Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda
Jiske parde me chupi hoti hai duniya-talabi

Dekha hai humne yahi aisa bhi aksar sajda
Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda
Kyun na is ghar ko malak layaq-e-sajda samjhe
Jiske dar par kiya taare ne utar kar sajda

Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda
Jis tarha se ek musalman ka jauhar hai namaz
Hai namazo ka usi tarha se jauhar sajda
Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda

Jan di sajde me Shabbir ne sajde ke liye
Aap kar lijiye itna hi samajh kar sajda
Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda
Shah ka sajdo ki hifazat me baha ispe lahoo

Isliye karte hai hum khaqe shifa pe sajda
Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda
Teen din tak na mila pani ka qatra usko
Jiske qadmo me kiya karta tha Kausar sajda

Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda
Sajda Khaliq ka na chuthe kisi halat me kabhi
Humko batla gaye khud kar ke bahattar sajda
Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda

Jab yaqeen ho gaya marne ka zameen par aayen
Karne ko shukr ka Abbas-e-dilawar sajda
Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda
Dard se jab wo tadapte the yahi lagta tha

Khaq pe jaise karte ho Ali Akbar sajda
Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda
Shah ka sajdo ki hifazat me baha ispe lahoo
Isliye karte hai hum khaqe shifa pe sajda

Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda
Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda
Koi ab tak na hua uske barabar sajda
Jaisa Sarwar ne kiya hai tahe khanjar sajda

जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा
कोई अब तक ना हुआ उसके बराबर सजदा
जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा
जिसके पर्दे में छुपी होती है दुनिया-तलबी

देखा है हमनें यहीं ऐसा भी अक्सर सजदा
जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा
क्यूँ ना इस घर को मलक लायक़े सजदा समझे
जिसके दर पर किया तारे ने उतर कर सजदा

जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा
जिस तरहा से एक मुसलमान का जौहर है नमाज़
है नमाज़ों का उसी तरहा से जौहर सजदा
जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा

जान दी सजदे में शब्बीर ने सजदे के लिए
आप कर लीजिए इतना ही समझ कर सजदा
जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा
शाह का सजदों की हिफ़ाज़त में बहा इसपे लहू

इसलिए करते हैं हम ख़ाक़े शिफ़ा पर सजदा
जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा
तीन दिन तक ना मिला पानी का क़तरा उसको
जिसके कदमों में किया करता था कौसर सजदा

जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा
सजदा खालिक़ का ना छूटे किसी हालत में कभी
हमको बतला गये ख़ुद कर के बहत्तर सजदा
जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा

जब यक़ीं हो गया मरने का ज़मीं पर आए
करने को शुक्र का अब्बासे दिलावर सजदा
जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा
दर्द से जब वो तड़पते थे यही लगता था

खाक़ पर करतें हों जैसे अली अकबर सजदा
जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा
शह का सजदों की हिफ़ाज़त में बहा इस्पे लहू
इसलिए करते हैं हम ख़ाक़े शिफ़ा पर सजदा

जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा
जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा
कोई अब तक ना हुआ उसके बराबर सजदा
जैसा सरवर ने किया है तहे ख़ंजर सजदा

← Return to Library