Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam
Imam Ali (A.S.) 🎤 Reciter: Sachey Bhai (Syed Ali Mhd Rizvi)

Haq hai Ali ke saath, Ali hai Nabi ke saath

Published on March 16, 2023
Audio Stream 🎤 Sachey Bhai (Syed Ali Mhd Rizvi)

Haq hai Ali ke saath, Ali hai Nabi ke saath

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Haq hai Ali ke saath, Ali hai Nabi ke saath
Ye jiske saath hai, hai Khuda bhi unhi ke saath
Haq hai Ali ke saath, Ali hai Nabi ke saath
Koi Ali ke koi hai ghaire Ali ke saath

Momin kisi ke saath munafiq kisi ke saath
Haq hai Ali ke saath, Ali hai Nabi ke saath
Roza Namaaz Hajj-o-Ziarat sab qubool
Lekin ye shart hai ke ho hubb-e-Ali ke saath

Haq hai Ali ke saath, Ali hai Nabi ke saath
Salman-e-Ahlebait koi bhi na ban saka
Yun tha sabhi ka baithna uthna Nabi ke saath
Haq hai Ali ke saath, Ali hai Nabi ke saath

Aaye hai hum jahan may bara-e-gham-e-Hussain
Ye dard to mila hai hame zindagi ke saath
Haq hai Ali ke saath, Ali hai Nabi ke saath
Qurbaan karke hum ne zamane ki har khushi

Apnaya hai Hussain ke gham ko khushi ke saath
Haq hai Ali ke saath, Ali hai Nabi ke saath
Qayam hai deen farshe Aza-e-Hussain se
Ye baat sochna kabhi sanjeedgi ke saath

Haq hai Ali ke saath, Ali hai Nabi ke saath
Bete ke dil se khainch rahe hai sina Hussain
Ya Rab nikal na aaye kaleja ani ke saath
Haq hai Ali ke saath, Ali hai Nabi ke saath

हक़ है अली के साथ, अली हैं नबी के साथ
ये जिसके साथ हैं, है ख़ुदा भी उन्हीं के साथ
हक़ है अली के साथ, अली हैं नबी के साथ
कोई अली के कोई है ग़ैरे अली के साथ

मोमिन किसी के साथ मुनाफ़िक़ किसी के साथ
हक़ है अली के साथ, अली है नबी के साथ
रोज़ा नमाज़ हज्ज-ओ-ज़ियारत सब क़ुबूल
लेकिन ये शर्त है के हो हुब्ब-ए-अली के साथ

हक़ है अली के साथ, अली है नबी के साथ
सलमान-ए-अहलेबैत कोई भी ना बन सका
यूँ था सभी का बैठना उठना नबी के साथ
हक़ है अली के साथ, अली है नबी के साथ

आए है हम जहाँ में बराए ग़मे हुसैन
ये दर्द तो मिला है हमें ज़िंदगी के साथ
हक़ है अली के साथ, अली है नबी के साथ
क़ुरबान करके हमने ज़माने की हर ख़ुशी

अपनाया है हुसैन के ग़म को ख़ुशी के साथ
हक़ है अली के साथ, अली है नबी के साथ
क़ायम है दीन फर्शे अज़ा-ए-हुसैन से
ये बात सोचना कभी संजीदगी के साथ

हक़ है अली के साथ, अली है नबी के साथ
बेटे के दिल से खैंच रहे है सिना हुसैन
या रब निकल ना आए कलेजा अनी के साथ
हक़ है अली के साथ, अली हैं नबी के साथ

← Return to Library