Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam

Dekha jo aasma ne zameen ko ghuroor se

Published on October 31, 2020
Audio Stream 🎤 T-Series Bollywood Classics

Dekha jo aasma ne zameen ko ghuroor se

YouTube
0:00--:--
Kalam Lyrics

Dekha jo aasma ne zameen ko ghuroor se
Boli Zameen ki mai bhi kam nahin huzoor se
Bola falak ke chand sitare hai mere paas
Tabinda hai jo fazle khudae ghafoor se

Boli zami ke chand sitaro pe kyo ghamand
Raushan hai ye to Aale Payamber ke noor se
Tukde ho chand doob kar sooraj palat pade
Mere maki karde jo ishaara bhi door se

Kahne laga falak mere daaman ki shaan dekh
Kauser chalak raha hai sharaabe tahoor se
Boli zameen ke asl hai kauser ki Fatma
shaq ho to pooch manaye kauser huzoor se

Bola falak ki kitna karegi muqabla
Ooncha hai naqle tooba tere naqle toor se
Boli zameen ke mana tera tooba hai buland
Chota hai phir bhi baghe Ali ke khajoor se

Bola falak ke Kaabe me aur arsh me hai farq
Nisbat ise qareeb se hai usko door se
Boli zameen arshe bari par juda hua
Kaabe me nisfe noor mila noor se

Dekha jo aasma ne zameen ko ghuroor se
Boli Zameen ki mai bhi kam nahin huzoor se

दे
खा जो आसमाँ ने ज़मीं को ग़ुरूर से
बोली ज़मीं की मैं भी कम नहीं हुज़ूर से
बोला फ़लक के चाँद सितारे हैं मेरे पास

ताबिंदा हैं जो फ़ज़ले ख़ुदाए ग़फ़ूर से
बोली ज़मीं के चाँद सितारों पे क्यों घमंड
रौशन हैं ये तो आले पयम्बर के नूर से
टुकड़े हो चाँद , डूब कर सूरज पलट पड़े

मेरे मकीं कर दें जो इशारा भी दूर से
कहने लगा फ़लक मेरे दामन की शान देख
कौसर छलक रहा है शराबे तहूर से
बोली ज़मीन के अस्ल हैं कौसर की फ़ातमा

हो शक़ तो पूछ मानिए कौसर हुज़ूर से
बोला फ़लक की कितना करेगी मुक़ाबला
ऊँचा है नक़ले तूबा तेरे नक़ले तूर से
बोली ज़मीं के माना तेरा तूबा है बुलंद

छोटा है फिर भी बाग़े अली के खजूर से
बोला फ़लक के काबे में और अर्श में है फ़र्क़
निसबत इसे क़रीब से , है उसको दूर से
बोली ज़मीन अरशे बरी पर जुदा हुआ

काबे में निस्फ़ नूर मिला नूर से
देखा जो आसमाँ ने ज़मीं को ग़ुरूर से
बोली ज़मीं की मैं भी कम नहीं हुज़ूर से

← Return to Library