Nauha.Stream
नौहा, मर्सिया, सलाम
← Back to all Kalam
Imam Zayn al-Abidin (A.S.) Imam Sajjad (A.S.) 🎤 Reciter: Anjum Bhai →

Bediyan thaam ke jab Abid-e-beemar chale

Published on September 14, 2020
Kalam Lyrics

Karbala kanp uthi Khuld mein roye Nabi
Bediyan thaam ke jab Abid-e-bemaar chale
Aah dhaate the sitam taziyano se shaqi
Bediyan thaam ke jab Abid-e-bemaar chale

Karbala kanp uthi Khuld mein roye Nabi
Bediyan thaam ke jab Abid-e-bemaar chale
Khoon tha zakhamo se rawan
Ghash pay ghash khatay rahe

Pusht par ahle jafaa durray barsaate rahe
Bahre imdaad sada kis ko de Binte Ali
Bediyan thaam ke jab Abid-e-bemaar chale
Karbala kanp uthi Khuld mein roye Nabi

Bediyan thaam ke jab Abid-e-bemaar chale
Aage shohada ke the sar peechay qaidi the haram
Nezah hathon mein liye saath the ahle sitam
Aale Ahmed ke liye thi museebat ki ghadi

Bediyan thaam ke jab Abid-e-bemaar chale
Karbala kanp uthi Khuld mein roye Nabi
Bediyan thaam ke jab Abid-e-bemaar chale
Di yeh Zainab ne sadaa aao Abbas-e-Jarri

Sar khule shaam chali Itrat Aale Nabi
Thaam ke rote the dil dekhne waale sabhi
Bediyan thaam ke jab Abid-e-bemaar chale
Karbala kanp uthi Khuld mein roye Nabi

Bediyan thaam ke jab Abid-e-bemaar chale
Sar khulay ahale haram aur woh ghairat daar
Aage Sajjad hazin pakde oonton ki mahaar
Sharm ghairat se na kyun ho uski gardan jhuki

Bediyan thaam ke jab Abid-e-bemaar chale
Karbala kanp uthi Khuld mein roye Nabi
Bediyan thaam ke jab Abid-e-bemaar chale

करबला काँप उठी ख़ुल्द में रोये नबी
बेड़ियाँ थाम के जब आबिदे बीमार चले
आह ढाते थे सितम ताज़ियानों से शक़ी
बेड़ियाँ थाम के जब आबिदे बीमार चले

करबला काँप उठी ख़ुल्द में रोये नबी
बेड़ियाँ थाम के जब आबिदे बीमार चले
खूँ था ज़ख़्मों से रवाँ ग़श पे ग़श खाते रहे
पुश्त पर अहले जफ़ा दुर्रे बरसाते रहे

बहरे इमदाद सदा किस को दे बिन्ते अली
बेड़ियाँ थाम के जब आबिदे बीमार चले
करबला काँप उठी ख़ुल्द में रोये नबी
बेड़ियाँ थाम के जब आबिदे बीमार चले

आगे शोहदा के थे सर पीछे क़ैदी थे हरम
नेज़ा हाथों में लिए साथ थे अहले सितम
आले अहमद के लिए थी मुसीबत की घड़ी
बेड़ियाँ थाम के जब आबिदे बीमार चले

करबला काँप उठी ख़ुल्द में रोये नबी
बेड़ियाँ थाम के जब आबिदे बीमार चले
दी यह ज़ैनब ने सदा आओ अब्बासे जरी
सर खुले शाम चली इतरते आले नबी

थाम के रोते थे दिल देखने वाले सभी
बेड़ियाँ थाम के जब आबिदे बीमार चले
करबला काँप उठी ख़ुल्द में रोये नबी
बेड़ियाँ थाम के जब आबिदे बीमार चले

सर खुले अहले हरम और वो ग़ैरतदार
आगे सज्जादे हज़ीं पकड़े ऊँटों की महार
शर्म-ओ-ग़ैरत से ना क्यूँ उसकी गर्दन हो झुकी
बेड़ियाँ थाम के जब आबिदे बीमार चले

करबला काँप उठी ख़ुल्द में रोये नबी
बेड़ियाँ थाम के जब आबिदे बीमार चले

← Return to Library